Skip to main content

Posts

Showing posts from March, 2021

Yaom E Difa | Defense Day Poem By Naseem Khan

  Yaom Difa Budget Ki Taqseem Se Pehle  Hamare Jismoon Par  Parkaar Ghuma Diye Jaate Hain Hamare Izaafi Gosht Aur Haddiyoon  Ko Recycling Ke Liye Bhaij Diya Jata Hai Aur Hamare Sarr Mehfooz  Kar Liye Jaate Hain Naseem  Khan _________________________________________________________ یوم دفاع   بجٹ کی تقسیم سے پہلے ہمارے جمسوں پر پرکار گھمادئے جاتے ہیں ہمارے اضافی گوشت اور ہڈیوں کو ری سائیکلنگ کے لیے بھیج دیا جاتا ہے اور ہمارے سر محفوظ کر لیے جاتے ہیں ۔   نسیم خان

Poem By Muhammad Moghira Siddique | Muhammad Moghira Siddique Poetry

Yadain Bain Kar Rahi  Theen Waqt Taswe Baha Raha Tha Jin Se Muhabbat Thi  Wo Bad-Gumani Ki Chaadar Aurhe  Aur Ab Dard E Shateeka  Men Mubtala   Nakaam Aashiq Sleeping Pills Le Ke Sone Laga Hai Poetry: By Muhammad Moghira Siddique ______________________________________________________ یادیں بین کررہی تھیں۔۔۔۔۔ وقت۔۔۔۔۔ ٹسوے بہا رہا تھا۔۔۔۔۔ جن سے محبت تھی۔۔۔۔۔ وہ بدگمانی کی چادر اوڑھے۔۔۔۔۔ نئی دنیا بسا چکے تھے۔۔۔۔ اور اب درد شٹیکا میں مبتلا ناکام عاشق۔۔۔۔۔ سلیپنگ پلز لے کے۔۔۔۔۔۔ سونے لگا ہے۔۔۔۔    محمد مغیرہ صدیق

Kehnay Walae Kehtai Hain, New Sad Urdu Poetry By Miss Iqra Afia

Kehne Waale Kehte Hain Dasht Men Pagal Rehte Hain Chaand Bhi Sun Ke Jalta Hai Chaand Se Chehre Hote Hain Tera Hansna Dekheen To Maosam Thehra Karte Hain Zakham Lage Hain Phoolon Se Zakham Lage Hain Phooloon Se Jinko Paani Dete Hain Aankheen Meri Sasti Hain Aanso Tere Mahenge Hain Us Ke Shaher Ki Barish Men Phool Baraste Rehte Hain Wo Aik Nazar Dekheen To Hum Aankheen Parh Lete Hain Chirya Totay Mor Aur Wo Mujh Ko Apne Lagte Hain Un Pe Likhe SHair Iqra Kuch Aur Ache Hote Hain Poetry By: Iqra Afia